G.T Road ki Rounqain

Image#truck

G.T Road (GrandTrunk Road) jo Sher Shah Suri ne banwai thi, ko bilkul andaza nahi ho ga k us k marnay k sainkron saal baad bhi G.T Road transportation aur communication ki aik aham zariya hogi.

Khaer G.T Road ka safar intahai khoobsurat aur yaad gaar hota hai. G.T Road ki rounqain, trucks k horn aur local transport ka intezar kartay hoey log is safar ko yaad gar banatay hain. G.T Road pe moujood truck drivers k hotel ka khana bhi aik alag hi experience hai.

G.T Road ka safar ho aur insan ki nazar truck art aur us truck pe ki hoi poetry per na paray ye to impossible hai. Truck drivers ne apnay dil ki awaz ko apnay trucks per kuch is tarah display kiya k unki baton ko dunya bhar mein pazeerai mili. Kuch truck quotes to itnay famous hoey k logon k facebook covers aur profile pictures ban’nay ki sadat hasil ki 😀

Shayad hi koi aesa insan ho jis ne ye Truck quote na parha ho:

  • ”Maa ki dua jannat ki hawa, Baap ki dua chal puttar gaddi chala”

Ab important baat ye nahi hai k ye quote bohat famous hua, us se ziada important baat ye hai k us driver k mind mein kia ho ga jis ne us ko ye baat likhnay pe majboor ki? Maa ki muhabbat, baap ka ghussa kia is sab ka sabab bana? shayad haan. Hamari society k lower middle class tabqay mein baap aik negative character k roop mein present kiya jata hai. Baap agar nasha karta hai to wo bachon per tashadud karay ga, baap agar jua khelta hai to biwi ka zewar baech dae ga. lakin Maa hamesha se hi hr society mein muhabbat aur khuloos ka paikar rahi hai. Maa khud bhooki rahay gi lakin apnay bachay ko behtareen khana khilaye gi. Maa khood mushaqat karay gi lakin apnay bachay ko parhaye gi, wo alag baat hai amooman bachay nikamay hi nikaltay hain 😀

Aik aur famous truck quote hai

”Pass kar ya Bardasht kar”

Wasey to ye aik suggestion hai driver ki taraf se lakin ham ne to kabhi isko follow nahi kia. Agar follow kia hota to ham itnay khubsurat quote se mehroom rah jatay 😀

Aik martaba safar k doran aik seat pe ye likha hua para, shayad aap ko parh k maza aye

”Buson mein, koochon mein, waignon mein

Be-hison ko hamsafar sath paya

Jin ko mardangi ka dawa tha

Unko bhi ladies seat pe paya”

Ye shaer parh k to bohat hi hansi aai, un tamam logon pe hansi aai jo ladies seat pe safar kartay thay 😀 wasey to hamari local transport mein ladies k liye koi special seats nahi lakin phr bhi is shaer ko kaafi enjoy kiya 😀

Aaj kal gas ka issue bohat ziada hai to recently aik Rikshaw k peechay aik shaer parha, jo hai to saraiki mein lakin hai bohat hi interesting

”Pareshan na theewin mein wal aasan

Aaj gas band ae, mein kal aasan”

 

Baat kuch yoon hai k ham logon mein frustration bohat ziada hai aur hamaray pass izhar ka koi tareeqa nahi to koi na koi tareeqa ham dhoond laitay hain. Truck drivers aur public transport walon ne poetry ko apni frustration nikalnay ka zariya bnaya to kisi ne facebook pe status update kr k apnay dil ki bharas nikal di to koi road pe aa k protest karta hai .

About hammadspeaks

football fan by nature and student by default liberal for conservatives and conservative for liberals, democrat for dictators and dictator for democrats, hence i consider myself as devil's advocate
This entry was posted in Uncategorized and tagged , , , , . Bookmark the permalink.

Leave a comment